Al ilm un naafe foundation ka ta'aruf: Nabi sallallaahu alaihi wasallam ka irshaad hai: طَلَبُ الْعِلْمِ فَرِيضَةٌ عَلَى كُلِّ مُسْلِمٍ Ilm ka haasil karna har musalmaan par farz hai ( raawi, anas bin maalik, saheeh ul jaame, hadees number 3914 saheeh) is hadees ki roshni me har musalmaan par shariyat ka itna ilm haasil karna zaroori hai jis ke zariye wo huqooqullah aur huqooq ul ibaad ko ba'husn e qoobi ghaltiyon se paak anjaam de sake, lehaza har mard aur aurat ke liye zaroori hai ke aqaa'ed, ibadaat, aqlaaq aur muamelaat me deen ki bunyaadi taleemaat ka ilm haasil kare taake wo jin baaton ka Allah ne hukm diya hai unko apna kar aur jin cheezon se mana Kiya hai unse bach kar deeni aur dunyawi aitebaar se Allah ki khushnoodi aur Allah ki jaanib se milne wali kamiyabi haasil karsake aur ye usi waqt mumkin hai jab ek banda e momin Allah se ilm e naafe ka sawaal aur ghair ilm e naafe se Allah ki panaah talab kare aur uske husool ki justaju Kare.